Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Tuesday, 17 January 2012

gardish se bura pal kya hoga,
iss se bura naseeb kya hoga,
ke jis dil se mohabbat ki humne,
use mohabbat se hi parhez hoga.

Sunday, 1 January 2012

A Contradiction

woh jaadugari hai,
use aankhon se baatein karna pasand hai.
par main toh ek ghaalib hoon,
mujhe bas kagaz-e-shabd hi samajh aate hai.
pata nahi kya hoga hamara!!!!

Saal naya, Main wohi puraana.

Saal naya,
Main wohi puraana.
Manzil nayi,
Par raah wohi.

Har chehre mein dhundta,
Khushi ki wajah apni.
Aakhir mila aisa hai koi,
Jisne badaldi manzil meri.

Saal naya,
Main wohi puraana.
Alfaaz aur,
Par matlab wohi.

Rishta yeh naya kisise,
Thoda sa kaccha hi sahi.
Bhuloon use toh aakhir kaise,
Thukraaoon toh khaabon mein wohi.

Saal naya,
Main wohi puraana.
Mushquil nayi,
Par takleef wohi.

Kisi pal yahiin,
Toh kisi pal kahiin.
Kho jaata hoon kisi mein,
Bas milta na yahiin.

Saal naya,
Main wohi puraana.
Manzil nayi,
Par raah wohi.