Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Sunday, 6 May 2012

Main

Main, mera dil hoon,
Tu meri saans hai.

Main beshak rehta tanhaa hoon,
Tu phir bhi mere paas hai.

Main ekk doobta tinka hoon,
Tu mera kinara hai.

Main andhaa pyaar hoon,
Tu mera sahara hai.

Main kora kaagaz hoon,
Tu meri ibaarat hai.

Main jeeta udaasi mein hoon,
Tu meri sharaarat hai.

Main jise nahi bhul pata hoon,
Tu meri woh haraarat hai.

Main chota saa shaayar hoon,
Tu meri fursat ki soch hai.

Friday, 4 May 2012

Adhoore falsafe....


Tumne mohobbat karna sikhaya tha,
Ab mohobbat pana bhi sikha jaao.
Tumne madhoshi mein jeena sikhaya tha,
Toh hosh mein aana bhi sikha jaao.

Tumne maghroor rehna sikhaya tha,
Phir zara ghumaan karna bhi sikhan jaao.

Tumne tamaam hasratein jagaayi thi mujhme,
Bas inhe mitaana bhi mujhe sikha jaao.

Tumne sohbat mein rehna sikhaya tha,
Faqat ab judaai bhi sehna sikha jaao.

Tumne mohobbat karna sikhaya tha,

Ab mohobbat pana bhi sikha jaao.