Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Friday, 30 August 2013

Dheeme Dheeme Shaam Ho Rahi Hai.....











Aasmaani kshitij surkh ho rahi hai,
Tehelti chidiya ghar laut rahi hai.
Nadi ka paani bhi shaant ho thehra,
Dheeme dheeme shaam ho rahi hai.



Ammi mandi se sabzi la rahi hai,
Papa ki kalam paseene se bhij rahi hai.
Aaj ke din ko alvida kehte huye,
Dheeme dheeme shaam ho rahi hai.

Monday, 19 August 2013

Gulzar Saab Ke Janam Din Par.......

Teri kalam se nikle harf,
Mere dil ke panno par chhap gaye hain.
Syaahi nahi toh kya,
Jazbaat se hi shabd likh gaye hain.

~ Happy BirthDay Gulzaar Sahaab :)








Thursday, 15 August 2013

Rumi Quotes

“When I am with you, we stay up all night.
When you're not here, I can't go to sleep.
Praise God for those two insomnias!
And the difference between them.”
~Rumi...

The true work of heart is to pump the blood-flow,
I don't know, why this crazy heart deals with emotions, feelings and rest‪#‎Duniyadaari‬.

‪#‎FuckinOff‬ Man, Just do your work, don't feel pain and don't make my eyes weep.
The true work of heart is to pump the blood-flow,
I don't know, why this crazy heart deals with emotions, feelings and rest‪#‎Duniyadaari‬.

‪#‎FuckinOff‬ Man, Just do your work, don't feel pain and don't make my eyes weep.
No Independence Day, Till Yet

Main kyun azaadi ka jasn manaaun?
Mera desh sirf angrezon se azaad hua hai...

Pehle bhrastachaar se azaad karo,
Heen bhav logon se azaad karo.
Mere bharat ko pehle vaardaton se azaad karo.

Bhrast neta ke chungal se azaad karo.
Naukri na milne ke khauf se azaad karo.
Budhi amma kahin bhukhi na mar jaaye, aise waqt se azaad karo.

Mere bharat ko rishvat ke andheron se azaad karo,
Kaala dhan samet raha hai insaaniyat ko,
Pehle saavkaar ke godaamon mein pade anaaz ko azaad karo.

Tab manaaunga main Swatantra Diwas.....

Tuesday, 13 August 2013

Invocation From A Bruished Heart.....
By Amit Valmiki

Sorry I am totally broken at heart,
I can't pretend to be strong, because I am really not.
I am broken, I am Betrayed, I am played, I am alive but like a dead.
The fake casting of being strong and reacting like a man, is mere an impediment on my way towards mental stability and eternity.
Being in the same situation and ignoring the pain will leave me with empty handed and burdened-soul.
Instead of pretending to be a strong person, I will feel pain, anger, and allow them to soon pass over along with my flowing tears.
I am sure, these tears will surely clean my heart from her memories and pain and with the course of time I will lead my life being a free bird again.

Baarish ke mausam mein bhi toot gaya main sukhe patte ki tarhaa,
Insaan ka sharir tha mujhe muyassar, bikhar gaya sheeshe ki tarhaa.
Baarish ke mausam mein bhi toot gaya main sukhe patte ki tarhaa,
Insaan ka sharir tha mujhe muyassar, bikhar gaya sheeshe ki tarhaa.

Monday, 5 August 2013

Woh apne fareb ko majburiyaan batake chale gaye,
Hamare maasoom se dil ko raakh banake chale gaye.

Hum bhi mohabbat ke safar mein mashruf musaafir the,
Manzil ke naam par tanhaai ke raaste dikhaake chale gaye.

Khushiyon ke mausam mein woh mere saath rahe apno ki tarah,
Thoda gham ka badal kya chaya wo khudko bachake chale gaye.

Written And Owned By
Amit Valmiki.