Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Saturday, 7 February 2015

A Fainted-Rose Day

एक रोज़ मुझे भी किसी ने ROSE दिया था,
ROSE में भरके प्यार का DOSE दिया था।

Rose लेते वक़्त चुभा था काँटा मेरे हाथ में,
मैं कुदरत का वो इशारा जान ना सका।
इस ख़ुशी के बाद होगा दर्द का आलम बड़ा,
ख़ुशी में मसरूफ़ में संदेसा जान ना सका।
उलझी हुई पंखुड़ियाँ मुझसे कह रही थी,
प्यार में एक दिन उलझ जाएगा रे तू बन्दे।
और मैं नामाकूल सिर्फ गुलाब की महेक लेता रहा....

पंखुड़ी वैसी ही उलझी रही एक बेनाम सी उलझन में
और महक को ले गयी हवा संग अपने।
क्या बचा Rose में? मुरझा गया वह कुछ ही रोज़ में।
मेरा प्यार भी Rose की तरह ही तो था,
न महक रही न मीठास रही उसमे
बस उलझी हुई एक दास्ताँ रह गयी।

एक रोज़ मुझे भी किसी ने Rose दिया था.......

Written And Owned By
Amit Valmiki

Friday, 6 February 2015

Ab Main Shayari Nahi Likhta

Mujhe jo dard diya tha tumne mujhse judaa ho kar
Use main aksar shayari bana kar bazaar mein bech deta tha.
Dil ka zakhm bhar saa gaya hai aur ab pehle saa woh dard bhi nahi uth taa.
Bas yahi wajah hai...

Ab main shayari nahi likhta
Ab main shayari nahi likhta.

Ab meri tarah meri kalam bhi tanhaa ho gayi hai tumhare dard se juda ho kar.
Yaa yun kahun ke yeh awara ho gyi hai tumhare kisson ko kho kar.
Kamabkht kabhi khushi toh kabhi hasi ko vyakt karti hai,
Laakh koshish karta hun par pehle si woh bebasi likhne ko mana karti hai.
mera is par koi ikhtiyaar na raha
Sach kahun toh mera dil gham ka mazaar na raha.

Shayad isliye
Ab main shayari nahi likhta
Ab main shayari nahi likhta.

Ek dafa zidd kar baitha kuch likhungaa tumhare liye
Sajaunga kaafiya-radeef tumhari yaad ka sahara liye.
Lekin jab diary kholi maine toh ek kora panna has kar mujhse kehta hai.

" Kyun main tum par apne alfaaz fizul karta hun,
Jab tum mere seedhe jazbaat nahi samajh saki toh mere kathin harf kya samjhogi?

"Sahi baat hai"
yeh keh kar main diary band kar deta hun
Aur....

Ab main shayari nahi likhta,
Ab main shayari nahi likhta.

Written And Owned By
Amit Muntazar