Ab hawa mein bhi ishq hai,
jabse tu mere sang hai.
Har fiza mein hai nasha,
jabse tu mere rang hai.
Chahe jis disha ab main jaaun,
us disha main tujhe paaun.
Zarre-zarre mein hai tu basa,
Door rahkar yun na de saza.
Raaston par jab guzarti hai tu kareeb se,
aise pal milte hain mujhe nasseb se.
Sunna chahti hai jo tu mere inn labon se,
toh meri aankhon mein jhaankh tu apne dil se.
Kah jaayengi wo baatein, jo jubaan par nahin aati.
Yaa nikal jaayegaa dil kaa ghamm, jab hongi meri yeh aankhein namm.
Ab hawa mein bhi ishq hai,
jabse tu mere sang hai.
Har fiza mein hai nasha,
jabse tu mere rang hai.
Chahe ab main jo kuch sochun,
har soch mein bas tujhe hi paaun.
Inn ankhon ne tera hai khwaab pala,
aur labon ne tera hi naam hai pukaara.
Sapno aur khwaabon ki ban gayi hai tu raani,
Bas tere ang hi likhni hai mujhe meri kahaani.
Rahegi agar tu saath toh khushnuma lagegi zindagaani,
aur naa rahegi koi khala yaa pareshani.
Aa ab thamle iss haath ko, jo badhaya hai maine tere saath ko.
Yaa nikal jaayegaa dil kaa ghamm, jab hongi meri yeh aankhein namm.
Ab hawa mein bhi ishq hai,
jabse tu mere sang hai.
Har fiza mein hai nasha,
jabse tu mere rang hai.
No comments:
Post a Comment