Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Wednesday, 24 August 2011

SABAB TERE LIYE


Barambaar lagaye chakkar,
Galiyon se teri guzarne ke bahaane.
Jab deedear na huaa toh,
Kar li doston se gupshup thodi.
Waqt beet gaya doston mein kitna,
Par tere gair tha har lamhaa tanhaa mera.
Lautaa jab ussi gali se jahaan thi teri sazhar,
Shukriyaa kiya maine khuda kaa.
Der se hi sahi, noor-e-chehra toh dikha tera.
Tujhe taankta dekh,
Doston ne kiya tana-bana mera.

Khushi se aaj bheeg chukka hai,
Iss raat ka lamha-lamha mera.
Mujhe guzarta dekh mudi toh thi tu,
Phir bhi shak huaa, kya wo harkat tune ki mere liye?
Hasi bhi thi tu dekhkar meri or,
Par rah gayi hai namie,jahaan aankh ki hai kor.
Nashtar jaise teri painee nazron ne,
Chalni kar diya mere dil ke kono ko.
Bhale hi dheeme se aayi thi,
Par teri khushboo ne, tere piche se aane ka ehsaas de diya.
Aaj ki raat fir tune mujhe tanhaa kar diya hai,
Kaali raat ko aaj fir tune teri laal chunari ke rang me rang diya.
Mahinaa bhar tere sapno mein rahungaa main.
Aur huya hai yeh jabse….. Barambaar lagaye chakkar,
Galiyon se teri guzarne ke bahaane.

No comments:

Post a Comment