Dilkash tere nazaron mein dooba rahta hoon,
Hairath se log taakte huye wo mujhe deewana kehte hain.
Jin panno par likhe tere naam ko padhta hoon,
Himayat ke lafz dete huye wo mujhe deewana kehte hain.
Jis raah par tere hone ka ehsaas pata hoon,
Khushi ka ehsaas dete huye wo mujhe deewana kehte hain.
Shaam ko jo teri yaadon mein khota hoon,
Lamhe bhi thamkar ab wo mujhe deewana kehte hain.
Aashiyane banaye jo tere ghar ke saamne,
Tere milne ki soch mein wo mujhe deewana kehte hain.
Kavitayein jo likhi tere khayalon mein raat bhar baithe,
Dil ko bha kar ibaarat meri wo mujhe deewana kehte hain.
Sabko begaana kar bas teri soch mein rahta hoon,
Ab apne bhi dekhkar wo mujhe deewana kehte hain.
Pyaar mein tere iss kadar jeeta hoon main,
Aashiqui ke parwane bhi wo mujhe deewana kehte hain.
Jab tak tu mere khaabon se ho juda neend na aaye,
Bechain hokar raat bhi wo mujhe deewana kehti hai.
Kya nidaan hai mere in armano ka,
Bas tera saath hi hai ant mere inn khaabon kaa.
Der na kar khudko mujhse milane mein tu,
Kal kahin log yeh na kahe ki koi deewana tha……
No comments:
Post a Comment