Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Sunday, 21 August 2011

woh raahi -zindagi ke safar ka.....

Abhi sikha bhi nahi,
chalna wo raahi,
Ladhe bina hi gira,
kudrat se hai traahi.

Bin kadi dhoop sahe,
kaise chamkega suraj saa.
Bas khade rahe khuda ke dar,
Kaise banega wo khuda saa.
Jalegaa jab wo rahon mein,
Tabhi toh kaamyabi legi use Baahon mein.
Yahi hai duniyaa ka khel,
bin karam kiye nahi hai khushi se mel.

Abhi sikha bhi nahi,
chalna wo raahi,
Ladhe bina hi gira,
kudrat se hai traahi.

Bin gunjte mausam ke,
kaise bhigega baarish mein wo.
Bas parde ke piche rahne se,
Kaise dikhega khud manzil ko wo.
Bhigega wo jab sard mausam me,
tabhi toh jaayege dard aankhon se.

Abhi sikha bhi nahi,
chalna wo raahi,
Ladhe bina hi gira,
kudrat se hai traahi.

No comments:

Post a Comment