Ban gayi hai roshni rangon ki saheli,
Aa gayi hai diwali hamari daheli.
Yun toh har din naya hota hai,
Par diwali ka sabse juda hota hai.
Sadkein pareshan hain logon ke shor se,
Bhari dukaane ladi hain sheher ki bhidd se.
Sone se bhi mehenge mishthaan hain,
Mandi se bhare chauraahe ki bhi kya shaan hai.
Aasmaan mein bhi ujaalon ki bauchaar hai,
Aa gayi diwali bas yahi samachaar hai.
Buzurgon se aashirwaad ki maang hai,
Street par chalti har ladki se aankhein-chaar hain.
Pataakhon se pareshaan padosiyon ka haal hai,
Fir bhi manate hum yeh tyohaar hain.
Yahi hamara desh hai,
Sabse juda jiska bhes hai.
Aao iss diwali kuch mitha ho jaaye,
Cadbury celebration se nahin,
Hamare pyaar se mithaas baantein.
Kyunki,
Ban gayi hai roshni rangon ki saheli,
Aa gayi hai diwali hamari daheli.
-WRITTEN AND OWNED BY
Amit Valmiki
(writer makes difference)
No comments:
Post a Comment