Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Friday, 7 October 2011

TUJHE YAAD KIYE

ja baitha hai yeh baashinda,
jahaan kisi ka naam-o-nishaan nahi milta.
ek nazm dil mein liye,
vruksh ke niche baithe sukhe panno par likhta.
har pankti, har sabd mein bas tera hai zikr-e-ehsaas,
jaane kyun tu dilko lagne lagi hai itni khaas.
tanhaa rahna ab bhala hai,
kyunki bhidd mein tere bina jaise khala hai.
yahaan akele mein tujhe yaad karke,
shayad yeh baashinda ek mash-hoor kavi ban jaye.
isiliye,
ja baitha hai yeh baashinda,
jahaan kisi ka naam-o-nishaan nahi milta.

No comments:

Post a Comment