Chaye hain baadal meh ke,
Jaane kyun baraste nahi.
Ek nazm hai dil mein,
Jo kaagaz par utarti nahi.
Qarar apni zindagi ka hai,
Par mujhse meri zindagi milti nahi.
Khoya hun apni tanhaayi mein yun,
Ke kashm-kash mein main phirta nahi.
Kahiin sehlaab aate samandar mein,
Toh kahin zameen banjar khilti nahi.
Rang toh kaafi hain maine dekhe,
Bas woh kabhi nikharte nahi.
Mehfil hai saji dosto aur yaaron ki,
Par mujhko yeh sab bhaati nahi.
Khoya hun apni tanhaayi mein yun,
Ke kashm-kash mein main phirta nahi.
No comments:
Post a Comment