Yaar school ki beeti baatein badi yaad aati hain,
Woh PT period mein Three-Forms-of-Verb padhna,
specially Learn-Learnt-Learned wala kissa.
Bagal wali class ki hindi medium ki ladkiyon ko taankte the,
Waise bhi apni class ki ladkiyon se uss waqt thashan huya karti thi.
O.T sir ke lecture mein tooti-phuti woh angrezi
"SIR THIS BOY IS PHEKING MY BOTTLE"
Horilaal sir ke period mein sir ki yaawing geente the,
Jab sir History ki lines bhul jaate the toh dheer se chahsma nikalkar use ponchne ke bahane yaad kiya karte the.
MARK HENRY naam unpar sacchi mein suit hota tha.
Aaj bhi bharosa hai L.P Sir DABANNGAI nahi bule honge,
Woh Principal sahaab nange pair gallery mein ghumte honge.
Ramadhar sir ki woh mazakiyaa baatein shayad aaj bhi chalti hongi.
Unki woh ekk line badi yaad aati hai mujhe
"MUNDE MUNDE MAATE BHHINNA"
SEVERAL MIONDS SEVERAL THINKING.....
Reccess mein Choti gate par baithe bhel-wale ko aksar luta karte the,
Kabhi banarsi jaate toh kuch log wapas school hi nahi aate the.
Yaad hai aaj bhi uss bandar Ashok Lohar ki hasi,
Arunkumar Pal ka bench ke niche sona.
Mahesh Gupta ka ek saath Do-Do wada pav khana.
Pramod Mahar ka BolBacchan
Arun Gupta ji puri maths board par khud solve karte the,
Chirag Malviya ka woh non-sense comment maarna,
Dharmendra Chaudhary Kaa Annu bhabhi ka picha karna.
John Nair se R.k vs Royal ka cricket match,
Jahaan meri team aksar hara karti thi.
Arey! Hareram Shah aur Birbal ki khichdi kaise bhul sakta hoon main.
Madam bolti thi ethyl alcohol,
Toh Mahesh ka chidhna.
Aisa lagta maano uske papa ka naam liya ho mam ne.
Horilaal sir Dabi se puchte
What is the tender of loksabha?
Pata nahi ab talak sir ko jawaab mila bhi hai yaa nahi?
Bohot kuch ab shayad badal gaya hoga lekin abhi bhi
Horilaal sir period ki bell bajane se pehle ek baar apni pant upar karte hi honge.
Birbal sir ki maths ghazab thi aur usse bhi ghazab unki angrezi
"Ther wer tharee botal and out aaf them ban botal is laastt"
(TRUE SENSE : "there were three bottles out of them one is lost")
L.P sir ne hamara "Send- aaff" (send off) behtar kiya tha
Mithai ke box mein ek kela, Do laddoo, ek samosa.
In sab ke beech, ek ladki, hindi medium se

No comments:
Post a Comment