Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Sunday, 12 May 2013

Dil ko aitbaar hai ke tum duur ho mujhse,
Phir bhi har chehre mein dhundhta hun tumko.
Bas meri harkat bayaan karti hai nafratein,
Jhutha hai gussa, yakeen karo main bas chaahta hun tumko.

Jubaan se kuch bhi bol deta hoon jiska koi matlab nahi,
Jis baat ka matlab ho usme zikr bas karta hun tumko.
Apne darr ko khud hi haqiqat bana deta hun,
Insaan main faltu nahi, bas khone se darta hun tumko.

Tumse duur hokar meri khushiyon ka koi wajood nahi,
Bas dil se khush hota hun aksar jab pata hun tumko.
Yakeen hai ke tumse milkar main apni manzil tak jaaunga,
Har mushkil safar mein rehbar ab main chaahta hun tumko.

Koi shak nahi, bas yakeen hai teri har baat par mujhe,
Bas apni betuki zidd se haar kar udaas kar jata hun tumko.
Bohot akela hoon iss duniya ki bheed mein “JAAN”
Ab har mandir-masjid-girja, khuda se maangta hun tumko.

No comments:

Post a Comment