Main apne school ka kya zikr karun?
Jab kabhi school ke baare mein kuch kaha, hamesha taarif ke shabdon ka hi sahara liya hai. Waise school kaabil-e-taarif hi tha. Lekin angrezin mein ek bohot hi behtareen kahavat hai "Every Coin Has Two Sides". Yeh kahavat hamare school par bhi laagu hoti hai.
Pichli baar maine kuch series likhi thi, jisme school ki kaafi puraani yaadein taza karayi thi aur acchai bhi darshaai thi, lekin iss baar main buraaiyon ka zikr karungaa, jo thi hamare school mein kuch had tak.
Yaad hoga aapko, hum din mein 3 baar English padhte the. Ek toh official English period hota tha, Ek principal sahaab last wala period loot liya karte the, chalo yeh toh unka haq tha; principal jo thehre. Lekin dimaag tab kharaan hota jab humein P.T. period ki bhi kurbaani deni padhti thi. Sirf English par jorr dene ke liye humse hamara sports chinn liya gaya. Agar us waqt school committee sporets par aur P.T par bhi dhyaan deti toh aaj hamare paas sirf passing certtificate nahi, balki sports certificate bhi hota aur shayad koi hum mein se Sachin Tendulkar ban gaya hota.
Chalo thik hai P.T period barbaad karke humein English sikhaai, koi baat nahi. Lekin Three forms of verb ke aage bhi toh kuch sikhaya hota.
Mujhe nahi lagta humein "Rama said to Ram...bla!bla!bla! ke alawa kuch aur padhaya gaya tha grammer mein. Kash, school authority ne kuch dhyaan hamari communication skill par bhi dala hota
Haan, thik hai maanta hun main ke kuch kadam uthaaye the school ne hamari angrezi bhasha sudharne ke liye jaise hindi bolne par 5 rupaye fine, lekin afsos iss niyam par kisi ne tavajju nahi diya jyada. kYunki agar yeh 5 rupaye fine wala rule sach mein lagu ho jata toh shayad hum students se jyada teachers ko fine bharna padhta. Waise teachers ki bhi apni majburi thi, ab kyaa kiya jaaye; aakhir muhh mein tambaku (Tobacco) dabakar English bolne mein pareshani toh laazmi hi hai. Aur fine waali baat par, mujhe pura yakeen bhi hai ke Birbal sir ne jarur fine bhari hogi, kyunki unke muhh se maine English toh chhodo hindi bhi nahi suni hai kabhi. Saari Geometry humne Bhojpuri mein hi solve ki thi.
Aaj ehsaas hota hai ke hum Raghuvir ke students kitaabi baaton mein toh safal ho gaye, lekin zindagi ki asli raah par nahi. Hum jahaan jaate hain, kuch kami khudme paate hain. Hamare paas gyaan toh bohot hai, lekin uss gyan ko jatane ke liye Communication skill nahi, aur na English language par koi command. Kya aapko yakeen hai ke aap fluent English bol sakte hain jaise Thakur ya Lawrence school ke students bolte hain, mujhe nahi lagta.
Discipline toh school mein mahaan thi. Itni mahaan discipine thi ke students ko maine jyadatar slippers mein aate huye dekha tha. koi uniform dhang se pehta tha aur koi blue jeans hi pehenkar aa jata tha. Tie, gale mein nahi, Ashok Lohar apni jeb mein rakha karta tha. Aur poore school mein sabse best Tie Dharmendra ki huya karti thi "Samosa Tie". Uski height ki tarah uski Tie bhi hua karti thi bilkul choti si.. "Identity Card", yeh kya hota hai? yeh sawaal aksar kiya karte the hum, kyunki humne apne school mein identity card 4th standard ke baad kabhi pehena hi nahi. Aur waise main agar sach kahun toh hum sirf 4th standard tak hi English medium mein padhe hain, uske baad toh jaise kisine hamare admission Bhojpuri medium mein kara diya ho.
Mujhe shiyakat sabse jyada iss baat ki thi ke hamare school mein bhed-bhaav bhi bada hota tha. Khaas kar Hindi aur English medium ko lekar. Hindi medium ko free mein 5 kilo chawal diye jaate the school ki taraf se aur unhi chawal ko hum English medium ke students truck se uthakar classroom mein rakhte the. Jaise hum students nahi mazdoor the
Fees toh humse barabar li jaati thi toh yeh bhedbhav kaisa? har teesre mahine mein Cable wale sahaab, oops! maaf kijiye mera matlab Morya sir aa jaya karte the. waise main sir ka naam lete waqt chuk gaya tha kyunki, sir apne naam se nahi apne dialogue se mashoor the. har baar class mein ghuste hi morya sir kaha karte the- "Keval cha sau (600) rupaye bhar dijiye". aisa lagta mano, koi Cable operator aapke darwaje par aakar cable ke paise maang raha ho
Yaad hoga agar toh kai baar hindi medium ke bacche school mein gutkha khaate huye pakde gaye the. Is mein un bacchon ki galti kya hai bhai. Pehle professors ko pakadna chahiye the jo khule aam class mein tambaaku ka sevan karte the. Agar aapko chaini khaini khaane ka itna hi shauk tha toh ghar se khaake aana chahiye tha na. Haan lekin iss baat ke liye mujhe birbal sir se koi shikayat nahi hai. kyunki sir bench ke neeche haath rakhkar chupke se pudhiya banakar apne muhh mein daba liya karte the.
Ek baat aur, hum Raghuvir ke students bahut faltu language ka istemaal karte hain. Ab iska shreya bhi main hamare school ko hi dunga, khaas kar ke hamare pyaar batla ke pitaji, Ramadhar sir ko. gandu language ka prayog unse behtar kaun kar sakta hai? hamare school ne humein sach mein allrounder bana diya hai.
Baaki school ke bacche jab ek dusre se milte hain toh kehte hain
"Hi, hello, How are you?"
Aur jab hum school mein ek dusre se milte the toh kehte
"Are...Teri maa kaa, kaisa hai? BC"
BC ka fullform aap samjh chuke hain, hain na? Haan, main jaanta hun aap samjh gaye, raghuvir se jo thehre.
Aur kisiko lutna bhi humne school mein sikha tha, yaad hoga agar aapko, wih bhelwala. jiske paas 2 rupaye lekar jaate aur kehte bhaiyaa acchi bhel banao. sir ne mangaai hai. jab ki khuyd khaya karte the.
Aur chori ki baat karun, toh school walon ne nahi sikhayi, ab itni baat toh khud students sikh hi gaye. Mujhe hamesha yeh sawaal khaya karta tha ke yeh school lab mein practicals toh hote nahi, toh phir yeh test-tubes saare kho kahan jaate hain? Mere iss sawaal ko jawaab mila, jab maine ek din batla (Dharmendra Chaudhary) ka bag khola.
Uske bag mein se kuch test-tubes, chalk aur kuch hamari anu bhabhi ki ek tasveer mili.
Kehte hain, har insaan ko uska asli character uske school se milta hai, hume bhi hamara yeh character school se hi mila hai.
Kuch bhi ho, main toh aaj bhi yahi kahungaa,
"Raghuvir is the best, kyuni hamare school mein humne namak-harami nahi sikhi."
Humne zameen par rehna sikha hai hamare school se, humne zimmedaariyon ko sambhaalna sikha hai, apne school se, aur haan kabhi koi hamare school ke baare mein galat bole toh use gaali dena bhi humne hamare school se hi sikha hai.
Toh comment mein ek baar sab bolo,
"Raghuvir is the best" —
No comments:
Post a Comment