Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Tuesday, 1 October 2013

Song : Kabhi Fursat Mile Toh Aana

Kabhi Fursat Mile Toh Aana



Kabhi fursat mile toh phir se khwaabon mein aana,
Iss baar mujhe phir se alvidaa kehte huye naa jana.
Bayaan kya karoon kaise guzaare itne din tere bina,
Har lamhaa mera hai gawaah tujhe yaad karte the "Jana"
Kabhi fursat mile toh phir se khwaabon mein aana.....

Hum chale the do kadam jiss raah par kabhi,
Ab usi raah par chalte huye humein manzil ko hai pana.
Kyun chalun main kisi aur ke saath aage iss zamaane mein,
jab maine apna ham-kadam, humsafar bas tujhe hai mana.
Chaahe dhundh lena zameen yaa tatol lena falak,
Yakeen kar 'sanam' nahi milega tujhe mujhsa koi deewana.
Kabhi fursat mile toh phir se khwaabon mein aana.....

Yeh na samajh waqt ke saath tujhe bhul jaaungaa main,
Teri yaadon ke silsile ko kab tha mere waqt ne thama.
Ab jee na sakungaa meri hasrat-e-janaan tere begair,
Meri shayari, meri ghazal, mere har misr ne tujhe hai pukara.
Chaahe dhundh lena zameen yaa tatol lena falak,
Yakeen kar 'sanam' nahi milega tujhe mujhsa koi deewana.
Kabhi fursat mile toh phir se khwaabon mein aana.....

Lyrics written and owned by
Amit Valmiki.

No comments:

Post a Comment