Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Sunday, 10 November 2013

Poem On Mishaps In India.

Dil ki awaaz dabi hui hai,
Aahat bhi ruki hui hai.
Desh andhere ke hawale hai,
Aur kehte hain tarakki hui hai.

kabhi Redcliff toh kabhi Mcmahon,
Har sarhad pe jawano ki maut hui hai.
Safed ambassador wale jee rahe hain,
Par aam aadmi ki aafat hui hai.
Aur kehte hain tarakki hui hai.

Ab sabzi mandi mein bheed nahi rehti,
Shayad pyaaz ke bhaav se ghabrahat hui hai.
Biwi golgappe ki shaukeen thi,
Lekin pyaaz ki kami use bhi khal rahi hai.
Aur kehte hain tarakki hui hai.

Amit Valmiki

No comments:

Post a Comment