Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Wednesday, 9 November 2011

Ghar mere armaano ka,

Ghar mere armaano ka,
Maine banaya,usne toda.
Chal rahe the Raahon par,
Maine saath nibhaya,usne muhh moda.

Berukhi si zindagi thi,
Uske aane se ghata ke mausam chaye.
Par kahaan thi mujhe yeh khabar,
Ke bas aankhein hi namm hongi.

Dard hai,gila hai,
Shikvaayi se bhara dil,
Par shikayat ki fursat kahaan…..
Hosh hai,wajaah hai,
Use chhod dene ki,
Par dil ki itni himmat kahaan….

Fulon se jyada main khilta,
Agar who pal bhar ko hi aake na jaati.
Gulshan sa main bhi mehekta,
Agar who yaadon ke aanchal na bikherti.

Ghar mere armaano ka,
Maine banaya,usne toda.
-WRITTEN AND OWNED BY
 Amit Valmiki
(Writer Makes Difference)

No comments:

Post a Comment