Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Friday, 11 November 2011

Nagar bane

Nagar bane, bane sheher
Insaan toh kaafi,
Par insaaniyat nadarad har peher….

Aaj raaton mein sunati hai amma,
Khabar mili jo gali mein chori ki.
Socha maine rahe kahaan woh din,
Jab sunati meri maa raaton mein lori thi.

Safar mein kahaan lagta hai utna waqt,
Jitna air-port par suraksha jaanch mein.
Paasport visa karte hain hamara safar tay,
Panchiyon ki tarah hamari chaha yaa iccha nahi.

Nadiyon se koi kyon nahi punchta,
Are aayi tu desh se videsh kaise?
Yeh sawal bas insaano se hi hota hai,
Aaj kal waqt chal raha kuch aise.

Shayad nadiyaan aapas mein bhed-bhaav nahi rakhti,
Jaanti hain unka karam ek hi hai.
Jo bujhaani hai unhe vishaal samandar ki pyaas.
Par humein toh yaad hi kahaan apna faraz,
Jo farz hai apna insaaniyat bachane ka aaj.

Mujhe darr hai,
Kahin rah na jaye insaaniyat bas ek itihaas.
Isi ko banao apni jaat,apna majhab
Aao milkar rahe humsab aaj…..

No comments:

Post a Comment