Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Thursday 26 April 2012

Poem For Separation

use apni khushiyon ke saath jeene do,
mujhe meri tanhaayi ke sang rehne do.

jo naazneen kabhi meri ho nahi sakti,
use mere khwaabaon se juda rehde do.

Muntazir hona bilkul fizul hoga shayad,
isliye uska intezaar mere liye karna bhi rehne do.

uske naseeb mein shayad koi aur hai,
kisi aur ke khayaalon mein use rehne do.

jo haseen lamhe uske saath bitaaye the,
unhe faqat zahen ki yaadein hi rehne do.

khuda ne hi tumse milaya aur usi ne juda kiya,
mujhe yunhi be-gumaan ab rehne do.

use apni khushiyon ke saath jeene do,
mujhe meri tanhaayi ke sang rehne do.

-Written and Owned by,
Amit Valmiki.

Sunday 22 April 2012

Takleef Hi Manzil Deti Hai


yahaan par kisi ke dagmagaate kadmo ke nishaan hain,
iss dagar se koi pareshaan pidhit musaafir guzra hoga.
yahaan ki dhul mein mili chand paseene ki boondein hain,
shayad mehnat karke woh shaaks yahaan tak aaya hoga.
badgad ke ped ki chaya mein us pathik ke girne ki chaap hai,
thakk haar kar woh beshak murjhaaye fulon jaise bikhra hoga.
aage ekk modd par maine mudne ke koi nishaan nahi paaye hain,
itne baadha seh kar bhi woh balwaan maano aage bada hoga.
thoda aur badhne par ek khat mila jisme likhe logon ke taane the,
woh sab ko sehta gaya bas apne dil ki sunta uss raah par data raha.

betodd apne iraadon se beshak usne apni manzil paa hi li hogi.....

Wednesday 11 April 2012

TUMHARA INTEZAAR HAI

Sheesha toh aksar farsh par gir ke toot-ta hai,
par yeh dil toh seene mein bhi naa mehfuz rah pata hai.
tujse milne se pehle yuhi akele main rehta tha,
par ab teri judaai se lagta hai choot raha koi naata hai.

manzar aksar dilkash hote hain, bas mujhe lagte nahi.
manzil ki taraf raah khub saari hain, bas mujhe dikhti nahi.
sard mausam mein bhi chandni hoti hai, bas mujhe milti nahi.
zulmat mein roshni ke liye shama hoti hai, bas mere liye kabhi jalti nahi.
main naaraaz nahi hoon apni zindagi se,
shikayat ki bhi koi wajaah nahi hai.
bas ekk ummeed hai,uske aane ki;

jiske aane ke baad apni iss tanhaayi ki yaad aayegi mujhe.
mujhe eek nayi mashruf duniya mill jayegi.
sabz-lawn par bikhre phulon ko nayi zindagi mill jayegi.
bhujhti baati ko aag mill jayegi, andhere ko roshni.
par filhaal toh toota hi rahega yeh dil uske bina.
intezaar bas, aur koi raasta nahi hai mera, naa uspar koi haq hai mera

Sheesha toh aksar farsh par gir ke toot-ta hai,
par yeh dil toh seene mein bhi naa mehfuz rah pata hai.

Wednesday 4 April 2012

andhere se bhara tha seena mera,
aur dil ko thi ujaalon ki talaash.
bas ekk shama ki ibtida karte huye,
apne hi dil ko jala baitha hoon main aaj.