Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Friday 22 November 2013

Haqiqat se pyara uska sapna lagta hai.

Aaj kal kyun koi anjaan apna lagta hai,
Haqiqat se pyara uska sapna lagta hai.

Woh hasti hai toh behad acchi lagti hai,
Pareshaani bhi uske chehre par khub jachti hai
Har roop mein har nazar se,
Woh mujhe pariyon se bhi pyaari lagti hai.

Main insaan hoon, woh hai jaise khuda.
Bas mohabbat hai us se, nahi hai koi wajah.
Bikhri julfon ke piche chupti hui uski palkein,
Haaye allah! yeh ladki hai yaa hai nasha.

Us se mohabbat ho gayi ab aisa lagta hai
Haqiqat se pyara uska sapna lagta hai.

Sunday 10 November 2013

Poem On Mishaps In India.

Dil ki awaaz dabi hui hai,
Aahat bhi ruki hui hai.
Desh andhere ke hawale hai,
Aur kehte hain tarakki hui hai.

kabhi Redcliff toh kabhi Mcmahon,
Har sarhad pe jawano ki maut hui hai.
Safed ambassador wale jee rahe hain,
Par aam aadmi ki aafat hui hai.
Aur kehte hain tarakki hui hai.

Ab sabzi mandi mein bheed nahi rehti,
Shayad pyaaz ke bhaav se ghabrahat hui hai.
Biwi golgappe ki shaukeen thi,
Lekin pyaaz ki kami use bhi khal rahi hai.
Aur kehte hain tarakki hui hai.

Amit Valmiki

Monday 4 November 2013

Our life wants to be in a balanced state.
Something good in you is balanced by bad in you.
Similarly, Happiness is also balanced by sorrow and vice-versa.
Otherwise, you will not learn the art of living the life.
If you are worried about your bad qualities, search for your good qualities and feel proud on them.
Even a coin has two sides, and both are supposed to be also.

If you are failed today or someday, don't grieve.
You met failure only because you had achieved success someday which is to be balanced today. If you didn't achieve then you are supposed to achieve the success in future to counterpart this failure.
Be happy, and admit your mistakes learn from failure.

This is applicable in all steps of life like education, relationships, tasks, job, etc.

"Anything losses comes in another form"
And, this form is the one you deserves truly as per God's grace.
Surrender yourself to the almighty, surrender yourself to the Lord.....

Amit Valmiki.

CDS Exam Form

Sunday 3 November 2013