Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Sunday 23 March 2014

Shabd

Mere shabd mere alfaaz sab bebuniyaad hai.
Nishabd hain jazbaat, mujh me bas teri yaad hai.

Monday 17 March 2014

Colours of life for life...

Cover yourself with the colour of innocence, cover your bruishness with ointment of smile.
Pain is just part of life, live it, feel it and let it pass with the time. Without knowing the pain, how one can realise the taste of happiness.

Thursday 13 March 2014

Khuda se maangta hun tumko.

Dil ko aitbaar hai ke tum duur ho mujhse,
Phir bhi har chehre mein dhundhta  hun tumko.
Bas meri harkat bayaan karti hai nafratein,
Jhutha hai gussa, yakeen karo main bas chaahta hun tumko.

Jubaan se kuch bhi bol deta hoon jiska koi matlab nahi,
Jis baat ka matlab ho usme zikr bas karta hun tumko.
Apne darr ko khud hi haqiqat bana deta hun,
Insaan main faltu nahi, bas khone se darta hun tumko.

Tumse duur hokar meri khushiyon ka koi wajood nahi,
Bas dil se khush hota hun aksar jab pata hun tumko.
Yakeen hai ke tumse milkar main apni manzil tak jaaunga,
Har mushkil safar mein rehbar ab main chaahta hun tumko.

Koi shak nahi, bas yakeen hai teri har baat par mujhe,
Bas apni betuki zidd se haar kar udaas kar jata hun tumko.
Bohot akela hoon iss duniya ki bheed mein “JAAN”
Ab har mandir-masjid-girja,  khuda se maangta hun tumko.

Tuesday 11 March 2014

Khalish (Poem 1)

Tu yunhi saath rahe toh yeh zindagi sawar jaayegi,
Warna teri yaad mein rafta rafta guzar jaayegi.

Maine jo khwaabon ki duniya banayi thi,
Pata na tha baad tere jaane ke woh yun bikhar jaayegi.

Tu haseen hai itni jiska koi jawaab nahi,
Raat bhi tujhe dekhe toh woh nikhar jaayegi.

Tujhe dekhne ko aankhein tarasti hain,
Aaj kal jahaan tu bas wahin meri yeh nazar jaayegi.

Tu yunhi saath rahe toh yeh zindagi sawar jaayegi,
Warna teri yaad mein rafta rafta guzar jaayegi. 

Monday 10 March 2014

Journey of pain and agony

Join the journey of feelings and emotions with the series of my poems only at www.amitvalmikiwritings.blogspot.com 

Sunday 9 March 2014

Lafz Dil Ke Shayari Ke Saath # Post 1 #

Tu mere paas toh nahi, lekin mujhse duur bhi nahi,
Iss dil ko tere siva koi aur manzoor bhi nahi.

तू मेरे पास तो नहीं,लेकिन मुझसे दूर भी नहीं
इस दिल को तेरे सिवा कोई और मंज़ूर भी नहीं।


Thursday 6 March 2014

Toote dil ki daastaan.....


Mausam baarish ka nahi, lekin barsaat hai.
Ab shauk jeene ka nahi, jaane kya baat hai.
Naa mujhe koi raas aaya, na mere koi paas aaya hai.
Baad tere jaane ke bas yeh tanhaai saath hai.
Ab na koi ghazal aur naa hi koi shayari mujhe yaad hai,
Bas toot ke bikhar sakun itni hi meri bisaat hai.

Tuesday 4 March 2014

Phir se mohabbat karna chaahta hun.....

Mere daftar mein ekk ladki hai,
jiske liye lag-bhag sara ka sara staaf deewana hai.
Har koi us se dosti karna chaahta hai, yaa yun kahoon ke pyaar karna chaahta hai.
Main banking sector mein kaam karta hun, toh agar apni banking ki bhasha mein kahun toh jaise woh ladki ek bank hai, jisme har ladka apna account khulwana chaahta hai.
Hahaaha!!!
Jitni badi bank, utne hi bade risks.

Par maine kabhi uss ladki mein interest hi nahi liya,
Are nahi, koi dushmani toh nahi hai us se, bas pata nahi kyun use dekh ke mujhe kuch nhi hota.
shayad isliye kyunki mere dil mein pehle se hi koi aur hai....
apni banking bhasha mein kahun toh meri mohabbat ka account already kisi ladki ke dil mein khul chuka hai, Neha naam hai uska.
Ab hum saath nahi hain, juda ho gaye hain.
Kaafi arsaa ho gaya hai uska deedaar kiye, haan kabhi kabaar sapno mein jaroor mulakaat ho jaati hai Neha se.
Mera account uske dil mein block ho chuka hai,
main ab kisi aur ka nhi ho sakta, mere pyaar ki CIBIL rating kharaab ho gayi hai shayad isliye meri mohabbat ka account kisi aur ladki ke dil mein nahi khul raha.

Main phir se mohabbat karna chaahta hun, kyunki ab maine mohabbat mein hasna aur rona, done ke maayne seekh liye hain....