Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 20 May 2013

bohot dino se tumhari hatheli nahi thaami hai,
tumhaari saanson ne mere jism ko nahi pigh laya hai.
bohot dino se har raat bewajah jaage guzri hai,
tumhari awaaj ko apne shabdon se nahi milaya hai.

maanta hun intehaan nahi hai samandar mein paani ki,
phir bhi meethaas ke liye usne nadi ko khudme samaya hai.
main bhi samandar ki tarah rishton se bhara hoon,
par hazaaron chehre mein saccha pyaar tumhi se paya hai.

bohot dino se tumhe dekhe bina aankhein roti hain,
tumhari aankhon ne aaine se jyada mujhe khubsurat dikhaya hai
tumhari yaadon ko dil ki tijori mein kaid kar rakha hai,
tum paas nahi par tumhari tasveer ko ab maine dil se lagaya hai.

Sunday 12 May 2013

Dil ko aitbaar hai ke tum duur ho mujhse,
Phir bhi har chehre mein dhundhta hun tumko.
Bas meri harkat bayaan karti hai nafratein,
Jhutha hai gussa, yakeen karo main bas chaahta hun tumko.

Jubaan se kuch bhi bol deta hoon jiska koi matlab nahi,
Jis baat ka matlab ho usme zikr bas karta hun tumko.
Apne darr ko khud hi haqiqat bana deta hun,
Insaan main faltu nahi, bas khone se darta hun tumko.

Tumse duur hokar meri khushiyon ka koi wajood nahi,
Bas dil se khush hota hun aksar jab pata hun tumko.
Yakeen hai ke tumse milkar main apni manzil tak jaaunga,
Har mushkil safar mein rehbar ab main chaahta hun tumko.

Koi shak nahi, bas yakeen hai teri har baat par mujhe,
Bas apni betuki zidd se haar kar udaas kar jata hun tumko.
Bohot akela hoon iss duniya ki bheed mein “JAAN”
Ab har mandir-masjid-girja, khuda se maangta hun tumko.