Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Saturday 27 August 2011

YEH RAAT HAI YAA KOI SAFAR

yeh raat hai ya koi safar,
waqt teri yaadon ke sang chal raha hai.
aaj fir teri yaad aayi hai,
pass mere fir tanhaayi hai.
chalo thik hai humsafar nahi the humtum,
warna samaah aur hota gumsum.
yeh raat hai ya koi safar,
waqt teri yaadon ke sang chal raha hai.

jo do kadam saath chale,
bas unhi yaadon ka saath hai.
ab jinda toh hoon main,
par zindagi kahaan saath hai.
yeh raat hai ya koi safar,
waqt teri yaadon ke sang chal raha hai.

teri hi tarah tera ghamm bhi haseen hai,
bin tere banjar yeh zameen hai.
ghamm toh baki bhi sahe the,
par tera gham kyun chubh rah hai.
yeh raat hai ya koi safar,
waqt teri yaadon ke sang chal raha hai.

Wednesday 24 August 2011

WO MUJHE DEEWANA KEHTE HAIN


Dilkash tere nazaron mein dooba rahta hoon,
Hairath se log taakte huye wo mujhe deewana kehte hain.
Jin panno par likhe tere naam ko padhta hoon,
Himayat ke lafz dete huye wo mujhe deewana kehte hain.
Jis raah par tere hone ka ehsaas pata hoon,
Khushi ka ehsaas dete huye wo mujhe deewana kehte hain.

Shaam ko jo teri yaadon mein khota hoon,
Lamhe bhi thamkar ab wo mujhe deewana kehte hain.
Aashiyane banaye jo tere ghar ke saamne,
Tere milne ki soch mein wo mujhe deewana kehte hain.
Kavitayein jo likhi tere khayalon mein raat bhar baithe,
Dil ko bha kar ibaarat meri wo mujhe deewana kehte hain.

Sabko begaana kar bas teri soch mein rahta hoon,
Ab apne bhi dekhkar wo mujhe deewana kehte hain.
Pyaar mein tere iss kadar jeeta hoon main,
Aashiqui ke parwane bhi wo mujhe deewana kehte hain.
Jab tak tu mere khaabon se ho juda neend na aaye,
Bechain hokar raat bhi wo mujhe deewana kehti hai.

Kya nidaan hai mere in armano ka,
Bas tera saath hi hai ant mere inn khaabon kaa.
Der na kar khudko mujhse milane mein tu,
Kal kahin log yeh na kahe ki koi deewana tha……

Armaano mein kuch aise tu aati hai

Armaano mein kuch aise tu aati hai,
Ke har jharno mein teri boond milti hai.
Aur har raah mein teri sohbat khalti hai.

Manzil ki sazhar phir bhi paas mein lagti hai,
Par tere Milan ka pal jannat ke paar lagta hai.

Armaano mein kuch aise tu aati hai,
Ke sham ki kshitij mein tere noor ki roshni milti hai.
Nigaahon ki hado se aage tere hone ka ehsaas dilati hai.

Khuda ke waas tak mera safar tay ho chuka hai,
Bas tere milne ki der aur sab-kuch ho chuka hai.

Armaano mein kuch aise tu aati hai,
Ke bin kuch jaane-soche chal pada mera kaarwan hai,
Har chahat se tu besh hai yeh mujhe gyaat hota hai.

Tere paas aane sekhwaabon ki tamir ban jati hai,
Bin tere khwaab dekhe meri neend gair raat jag jaati hai.

SABAB TERE LIYE


Barambaar lagaye chakkar,
Galiyon se teri guzarne ke bahaane.
Jab deedear na huaa toh,
Kar li doston se gupshup thodi.
Waqt beet gaya doston mein kitna,
Par tere gair tha har lamhaa tanhaa mera.
Lautaa jab ussi gali se jahaan thi teri sazhar,
Shukriyaa kiya maine khuda kaa.
Der se hi sahi, noor-e-chehra toh dikha tera.
Tujhe taankta dekh,
Doston ne kiya tana-bana mera.

Khushi se aaj bheeg chukka hai,
Iss raat ka lamha-lamha mera.
Mujhe guzarta dekh mudi toh thi tu,
Phir bhi shak huaa, kya wo harkat tune ki mere liye?
Hasi bhi thi tu dekhkar meri or,
Par rah gayi hai namie,jahaan aankh ki hai kor.
Nashtar jaise teri painee nazron ne,
Chalni kar diya mere dil ke kono ko.
Bhale hi dheeme se aayi thi,
Par teri khushboo ne, tere piche se aane ka ehsaas de diya.
Aaj ki raat fir tune mujhe tanhaa kar diya hai,
Kaali raat ko aaj fir tune teri laal chunari ke rang me rang diya.
Mahinaa bhar tere sapno mein rahungaa main.
Aur huya hai yeh jabse….. Barambaar lagaye chakkar,
Galiyon se teri guzarne ke bahaane.

Monday 22 August 2011

COMMON WEALTH GAMES


Hoo……..
O... o... o……
Tum jiyo utho aur chalo,
Bas aage tum badh chalo…..{2}
Bas tumhaara hi ho samaah,
Aur tumhaara hi ho jahaan.
Kar lo maksad par tum amal,
Bikheron khel se tum aman.

Tum jiyo utho aur chalo,
Bas aage tum badh chalo…..{2}

Thaanlo manzil ko tum,
Himmat badhakar sapno ko tum thaamlo……….
Saath saathi ka dum,
Nazrein failakar armaano ko tum thaamlo……….
Bas tumhaara ho naam,
Aur dekhegi duniya tumhaara kaam.
Kar do ekjut rahne ka wada,
Bikhero fool gulshan se jyaada.

Tum jiyo utho aur chalo,
Bas aage tum badh chalo…..{2}

Sunday 21 August 2011

woh raahi -zindagi ke safar ka.....

Abhi sikha bhi nahi,
chalna wo raahi,
Ladhe bina hi gira,
kudrat se hai traahi.

Bin kadi dhoop sahe,
kaise chamkega suraj saa.
Bas khade rahe khuda ke dar,
Kaise banega wo khuda saa.
Jalegaa jab wo rahon mein,
Tabhi toh kaamyabi legi use Baahon mein.
Yahi hai duniyaa ka khel,
bin karam kiye nahi hai khushi se mel.

Abhi sikha bhi nahi,
chalna wo raahi,
Ladhe bina hi gira,
kudrat se hai traahi.

Bin gunjte mausam ke,
kaise bhigega baarish mein wo.
Bas parde ke piche rahne se,
Kaise dikhega khud manzil ko wo.
Bhigega wo jab sard mausam me,
tabhi toh jaayege dard aankhon se.

Abhi sikha bhi nahi,
chalna wo raahi,
Ladhe bina hi gira,
kudrat se hai traahi.

Friday 19 August 2011

A city with a dim light,
streets are still empty.
The time is passed in night,
But still dreams in eyes are dusty.

Wednesday 17 August 2011

Raat khaali hai

Raat khaali hai,
tere bina kya eid aur kya diwali hai.
Sapne mein hai tu toh zindagaani hai,
bin tere sapna bhi badgumaani hai.
Kho gaye hain chand-taare aasmaan ke,
Jab tu saamne hai fir kya chand aur kya tare?
Ghul-miil gaya hoon aaj khushiyon mein,
khaabon me hi sahi paas rahna tu.
Door tere hone se,
Raat khaali hai,
tere bina kya eid aur kya diwali hai.

Monday 15 August 2011

AS YOU’RE MY DEAR


The way leaves parts colour of tree,
Same way your love shines me.
You have added other bands of colour to my life,
which was yester days known to have only black & white.

Petals of beautiful roses are entangled,
As this sign of love shows love is not simple.
It has twists at every turn of life,
which depends upon your curiosity to sharp.

Your presence near to me makes me happiest alive,
But your absences will infuriate me throughout my life.
My hand is without yours but they are close,
Now I feel that paradise is mild one-step ahead.

If you are with me,
I have no fear.
With you all pains I can bear,
As you are my dear.

Sunday 14 August 2011

for dushman's of writers

agar kehte ho ise tum itna aasaan,
toh kabhi likhke ke toh dikho koi nazm bhaijaan.
kalam pakadna toh jane hai baccha bhi,
par iska istemaal toh karo koi saccha tab janu main bhi.
hum writers ki soch hi hamari shaan hai,
...jispar humein bada hi maan hai.
humari khaasiyat hai ki hum buraayiyon se pehle,
logon mein unki acchaiyyan dekhte hain.
taaki unki buraayiyon ko apne andar se bhula sakein,
aur acchaiyon ko apne paas bulaa sakein.
log hamara batuaa dekhte hain toh fakir kate hain,
par mere yaaron kabhi hamare dil me toh jhaanko.
hum hi sabse amir nazar aayeinge.
duniya ek karna har writer ka maksad hai,
apkaa pyaar hi humaare kaam ka mukammal hai.
humein dil se padhoge toh apko ehsaas hoga hamare dil ka,
keval nazron se padhoge toh timepass hoga apke din ka.

Friday 12 August 2011

Kya abhi bhi hai tu bekhabar?

Maine chaha tujhe iss kadar,
Ki hai ab dil mein bas teri basar.
Dil ko kya hai ab kisi ki khabar,
Tu hi shehar aur hai tu mera ghar.

Maine chaha tujhe iss kadar,
 Kya abhi bhi hai tu bekhabar?

Itne kareeb hai tu mere dil ke,
Ki saansein bhi maangein izaazat teri.
Dil dhadakta hai, shayad tu zinda hai isme,
Saansein chalti hai, tu rahta hai zahen mein.
Aur kya hai kami bas tere siva…..
Maine chaha tujhe iss kadar,
Ki hai ab dil mein bas teri basar.
Saari had par kardi, imtehaan kya hai.
Tu hi jarurat aur hai tu mera sahara.

Maine chaha tujhe iss kadar,
 Kya abhi bhi hai tu bekhabar?

Thursday 11 August 2011

Ab hawa mein bhi ishq hai,

Ab hawa mein bhi ishq hai,
jabse tu mere sang hai.
Har fiza mein hai nasha,
 jabse tu mere rang hai.

Chahe jis disha ab main jaaun,
us disha main tujhe paaun.
Zarre-zarre mein hai tu basa,
Door rahkar yun na de saza.

Raaston par jab guzarti hai tu kareeb se,
 aise pal milte hain mujhe nasseb se.
Sunna chahti hai jo tu mere inn labon se,
toh meri aankhon mein jhaankh  tu apne  dil se.
Kah jaayengi wo baatein, jo jubaan par nahin aati.
Yaa nikal jaayegaa dil kaa ghamm, jab hongi meri yeh aankhein namm.

Ab hawa mein bhi ishq hai,
jabse tu mere sang hai.
Har fiza mein hai nasha,
 jabse tu mere rang hai.

Chahe ab main jo kuch sochun,
 har soch mein bas tujhe hi paaun.
Inn ankhon ne tera hai khwaab pala,
aur labon ne tera hi naam hai pukaara.

Sapno aur khwaabon ki ban gayi hai tu raani,
Bas tere ang hi likhni hai mujhe meri  kahaani.
Rahegi  agar tu saath toh khushnuma lagegi zindagaani,
 aur naa rahegi koi khala yaa pareshani.
Aa ab thamle iss haath ko, jo badhaya hai maine tere saath ko.
Yaa nikal jaayegaa dil kaa ghamm, jab hongi meri yeh aankhein namm.

Ab hawa mein bhi ishq hai,
jabse tu mere sang hai.
Har fiza mein hai nasha,
 jabse tu mere rang hai.

Sunday 7 August 2011

TASTE OF REAL SUCCESS


I believe,
A light will fall on me,
This will make me shine like the sun.

I believe,
All dreams of mine will meet their ends,
I will get one what I have dreamt of.

I believe,
Now I am very close to success,
As dream is needed first before we act for those.

I have dreamt it, that what I want.
Action is the next step that I have to take.
My patients will support me through all pains,
My dreams will give me courage to struggle all fails.

I believe,
I should keep on trying the same,
Unless I get the one that I need to fame.

This or that, but it was only the way I thought about,
The success and way of living.

But believe me, now;
As my mom explained me the real success,
And she gave mystery of getting it.

I believe,
I should not kill the peace in me for my own sake,
Otherwise; humanity will die which rest in me.

I believe,
In being man of value rather than of success,
And, my success resides in keeping myself kind and considerate to others.

BE KIND, BE HUMANE, BE CONSIDERATE – THEY ARE REAL SUCCESS OF HAVING PART OF THIS WORLD
(Written this poem when inspired by my mother, love you mamma for making me a valuable person.)

Friday 5 August 2011

HOPE GIVES INSPIRATIONS

I make promise to me that,
Today is going to be a good day.
I feel the reason in my heart,
That I’ll start shining all the way,
The shine which will glitter me,
Encourage me, light up me;
To achieve my dreams.
I have nothing;
But only a hope of making those dreams into reality,
And; I think hopes give inspirations.
So dream your dreams, hope your dreams,
Live your dreams and keep faith in yourself.

Wednesday 3 August 2011

IN MY NIGHTS


Some things are there that wakes me as I sleep,
They are the dreams of mine aroused in my nights.

The day today and those were passed yesterday were timeless,
But clusters of their memories fill my mind in my nights.

Now the voice of revelation sounds in the thoughts,
That surprised me giving an intangible world in my nights.

And a day when I sights my heart-crush,
A feeling of loneliness appears very inane in my nights.

Next day thought which make me humane clicked to me,
When I thought I am not considerate in my nights

Written by Amit Valmiki
3/8/2011