Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Wednesday 30 July 2014

"A.R. Rahman's songs are worthwhile in giving a state of euphoria in days of dilemma. Indeed an ointment on a wound."

~ Amit Valmiki.

Sunday 27 July 2014

Junoon

Hoon chupa,
Main tere dil mein kahin.
Mujhko jaga,
Kyun soya hoon abhi.

Kabhi haar jaaye,
Kahin girr tu jaaye.
Jab saari duniya,
Piche chhod jaaye.

Mujhe yaad karna,
Tujhpe inayat karungaa.
jaadugar nahi, na farishta koi.
Tere hi dil mein,
Jo main rehta hoon.
Main woh junoon hoon,
Main woh junoon hoon. 

Tujhe garr manzilein na dikhe,
Phir bhi chalta tu rehna.
Iss kohre ke aage,
Ekk manzar hai dilnashee.
Thakk gaya hai toh bata,
Tere andar se mujhko jaga.

Teri haar ko,
Jo jeet mein badalta hoon.
Main woh junoon hoon,
Main woh junoon hoon. 

To Be Continued


Saturday 26 July 2014

# Khalish Series

Har nazar har nigaah bas khalaa hai,
Jaane sitamgarr gardish kaisi bala hai

Wednesday 23 July 2014

Aphorism

Being optimism,
What change does being so really brings into our life?
Being optimism is basically the process of evoking our subconscious mind for what we like and want.
When our subconscious mind starts working the way we want, it brings tranquility in our life.
This is because, subconscious mind has magnetism, and hence it has tendency to pull what it is thinking.
It is not any miracle, but it is just the law of nature.

So be optimism, and it is too hard to be so, unless and until you pray the lord.

Tuesday 15 July 2014

Love_Line

Ab humsafar hai jo tu,
Toh mast-malang hai meri rooh.
Aur ab chahiye bhi kya,
Jo mill gaya hai sukoon.

Upcoming books by Amit Valmiki

1. "Coz, I Was A Fresher In Love"
2. " My (Lost) Love-Story"

Monday 14 July 2014

"Coz, I Was Fresher In Love" - My upcoming Love-Story

The plan is been set-forth and step is been taken in writing my first love-story tiltles as " Coz, I Was Fresher In Love". The story has just taken a start-off and is expected to get accomplished in a month or two. Hope even my foes will like this story as I shall be covering my futility and failures too in some of the section. This book is an intuitive step to show what people generally make mistakes in their relationship. But, for sure; my job on other hand will be to search a publishing house for this book.

Thursday 10 July 2014

Na Jaane Woh Lamms Kiska Tha

Na jaane woh lamms kiska tha, tera ya fiza ka,
Aaj bhi sharir chuan mehsus karta hai.
Yun toh aata hai sapno mein hazaar martaba
Par Haqiqat se khudko mehfus rakhta hai.
Main tanhaa, raahon pe khada 'muntazar',
Woh mehfil mein apne husn ka prachaar karta hai.
Kyun dhundhta hai woh shakhs zamaane bhar mein pyaar,
Mera zahen jise khayaalon mein shumaar karta hai.
Amit Muntazar

Monday 7 July 2014

Incourse of this journey with pain and agony, you appeared in my life like a new reason to smile.....

Kshama, a girl who gave me courage and aspirations to make friendship. After sustaining betrayal, the word friendship was mere a word for me, but this girl gave me the meaning of this word and importance back in my life.
Will never be apart from you Kshama

Song Lyrics : Jee Raha Hoon Zulmat mein


Ab Har Ghadi, Har Lamhaa
Ho Kar Main Tanha-Tanhaa.
Sochta hoon tujhe khalvat Mein.

Jeena Mein Koi Inaayat Nahi,
Aur Jeene Ki Bhi Ibaadat Nahi.
Jee Raha Hoon Main Zulmat Mein.

Woh diye bujh gaye,
Jo jalaye the teri mohabbat ne.
Woh shama pighal gayi,
Jo jalti thi mere dil ki chaukhat pe.
Inn andheron ke hawale kar gayi mujhe,
Jahaan mera saya bhi chood gaya hai mujhe.

Zindagi thi gulistaan, gulzar tha mera har aalam
Baad tere jaane ke badal gaya mausam.
Aaj  waqt guzarta hai tanhai ki qurbat mein,
Jee Raha Hoon Main Zulmat Mein.

Jo sang tha ab woh hai nahi humsafar,
Aakhir guzre toh kaise guzre zindagi ka yeh safar.
Bedili ke zamaane mein kyun jeeta hai mera dil,
Nikal doon seene se toh kaise tu jeeta hai isme magar.
Inn andheron ke hawale kar gayi mujhe,
Jahaan mera saya bhi chood gaya hai mujhe.

Har modd pe, Har raaste diye waqt ne gham,
Kaise main bhulaaun tujhe tu hi tha mera marham.
Aaj dil sang chalta hai tanhaai ki sohbat mein,
Jee Raha Hoon Main Zulmat Mein.

Lyrics Penned And Owned By
Amit Valmiki