Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Tuesday 25 October 2011

Poem For Diwali

Ban gayi hai roshni rangon ki saheli,
Aa gayi hai diwali hamari daheli.

Yun toh har din naya hota hai,
Par diwali ka sabse juda hota hai.
Sadkein pareshan hain logon ke shor se,
Bhari dukaane ladi hain sheher ki bhidd se.

Sone se bhi mehenge mishthaan hain,
Mandi se bhare chauraahe ki bhi kya shaan hai.
Aasmaan mein bhi ujaalon ki bauchaar hai,
Aa gayi diwali bas yahi samachaar hai.

Buzurgon se aashirwaad ki maang hai,
Street par chalti har ladki se aankhein-chaar hain.
Pataakhon se pareshaan padosiyon ka haal hai,
Fir bhi manate hum yeh tyohaar hain.

Yahi hamara desh hai,
Sabse juda jiska bhes hai.
Aao iss diwali kuch mitha ho jaaye,
Cadbury celebration se nahin,
Hamare pyaar se mithaas baantein.

Kyunki,
Ban gayi hai roshni rangon ki saheli,
Aa gayi hai diwali hamari daheli.
-WRITTEN AND OWNED BY
  Amit Valmiki
 (writer makes difference)

Sunday 23 October 2011

USE KHO NAHI SAKTA

Wo mujhe chahti nahin,
Main use paa nahin sakta.
Yun toh kabhi milti nahin,
Par use kho bhi nahin sakta.

Wo sabko apna deewana karti hai,
Bas main deewana ho nahin sakta.
Use door rah aankhein hain namm,
Koi aur mere aansoon rok nahin sakta.

Wo mujhe chahti nahin,
Main use paa nahin sakta.
Khushi pane ki wo ibaadat hai,
Dard use jaan nahin sakta.

Harsu ki khushi wo hai aur hogi,
Use paakar dukhi main ho nahin sakta.
Jab who iss dil mein ho,
Toh koi aur iss mein aa nahin sakta.

Wo mujhe chahti nahin,
Main use paa nahin sakta.
Yun toh kabhi milti nahin,
Par use kho bhi nahin sakta.

Friday 21 October 2011

A thought in my mind,

Nothing as usual in my mind,
Coming thoughts rather than you I find.
Drops of aspiration losing my soul,
Feeling like facing a game with fowl.
A thought in my mind,
Is only you, that I find.

Walking with you is what I like,
Sharing my feelings with others unlike.
I find you in place where my destiny is,
Without you every fantasy I will miss.
A thought in my mind,
Is only you, that I find.

Staying apart from you is a sin,
But thinking you makes me keen.
Closing my eyes I see you,
Stopping my breath I feel you.
A thought in my mind,
Is only you, that I find.

Wednesday 19 October 2011

kyunki tu hi meri ab zindagi hai......

tere sang bita har lamhaa,
meri zindagi ka haseen lamhaa hai.
tu paas na hokar bhi paas hai,
kyunki inn aankhon mein bas tere hi khaab hain.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

jab tujhe yaad karun,
toh pata nahi kyun muskaan labon par aa jati hai,
jab tujhe kabhi sochun,
toh kyun main bas soch mein hi rahna chahoon.
aaj haal mera kuch aisa hai,
ki log akele muskurate dekh mujhe pagal kehte hain,
par kaun unhe samjhaye,
ki main pagal toh nahin bas ek tera deewana hoon.
Tu shama jiska main parwana hoon.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

teri baaton ka bhale hi koi matlab na ho,
par fir bhi sunta hoon main unhe dhyaan se.
teri aawaaz nahi woh mere dil ka saaz hai,
jisse saanson ke chalne mein bhi raag hai.
ab iss dil mein bas tu hi palti hai,
kyunki dhadkan tere bina ab khalti hain.
Meri saanson se main juda ho gaya hoon,
Bas teri hawaon se jeeta hoon.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

Jahaan mere khwaabon ka ant hai,
Wahaan tere sang chalne ki baat hai..
Sabab karvatein badalne ka kya bataun tujhe,
Bas teri yaad satati hain mujhe.
Tere sur se bana saazinda main hoon,
Tere ehsaas se ab jeeta main hoon.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

Sunday 9 October 2011

Your black dress, wow !!!

my eyes were habituated to gaze,
what they used to see is only your face.
but yesterday, seeing you in that black dress.
my innocent heart appeared to be in a mess.
for me, you looked like a fairy,
at time, I wrote my feelings in a diary.
what a magic is there in your beauty,
that usually put my mind soothe.
so lucky was your black dress!
having to your body a friction.
heating me with the fire of jealous,
shown miracle that increased my addiction.
WRITTEN AND OWNED BY-
Amit Valmiki

Friday 7 October 2011

TUJHE YAAD KIYE

ja baitha hai yeh baashinda,
jahaan kisi ka naam-o-nishaan nahi milta.
ek nazm dil mein liye,
vruksh ke niche baithe sukhe panno par likhta.
har pankti, har sabd mein bas tera hai zikr-e-ehsaas,
jaane kyun tu dilko lagne lagi hai itni khaas.
tanhaa rahna ab bhala hai,
kyunki bhidd mein tere bina jaise khala hai.
yahaan akele mein tujhe yaad karke,
shayad yeh baashinda ek mash-hoor kavi ban jaye.
isiliye,
ja baitha hai yeh baashinda,
jahaan kisi ka naam-o-nishaan nahi milta.

Wednesday 5 October 2011

Living inside your heart

Living inside your heart,
Is like living in a prince’s castle.
The color of your love is pale,
As your haze is strong even from the gale.

Seeing you in a very first time was my mistake,
And; gaining you is my only sanctify.
Each and every instant is a rage,
Without you this mundane is a cage.

Now I’ve understood,
This world is intangible for me.
The only place to live is inside your heart,
And want to be its part.

Let your heart be my dwelling.
Or feel me as a guest
I will give you the love and my feeling,
In me which is only rest.

Monday 3 October 2011

Jabse tu khwaab hai

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Ghamm ne bhi mujhse juda rahna sikh liya hai,
Kyunki tere khayal ne mere har gham ko daba diya hai.
Do lamhon ki hi sahi, par tanhaayi main chahta hoon,
Kya karoon, ab tanhaayi mein bhi bas tumko hi pata hoon.
Tu jeene ke liye hai jaroori,
Kuch aise jaise dil ko saansein.
Dil ko bhi kahaan hai ab saanson ki jarurat,
Jabse tu rahne laga hai dil mein har fursat.

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Tera chup rahna yun khalta hai,
Jaise seene mein koi rog palta hai.
Dekhkar bhi jab tu koi ishaara nahi deti hai,
Toh tujhe dekhne ki khushi bhi khala lagti hai.
Jaaun toh kahaan ab,Har jahaan tu hi milti hai.
Sach tujhe paa loon toh, jeena hai safal yeh soch milti hai.

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Yeh zameen bhi teri lagti hai,
Jo tune mujhe abr par bhej diya,
Badal hataye toh,
Aasmaan bhi tera hi lagta hai.
Jaaun toh kahaan ab,Har jahaan tu hi milti hai.
Sach tujhe paa loon toh, jeena hai safal yeh soch milti hai.

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Saturday 1 October 2011

duaaon me toh panaah de

kar nafrat, kar ghumaan.
mere pyaar ko kar dafan.
chahe dil mein mujhe naa rakh,
par duaaon me toh panaah de.

saaz tere pyaar ka,
sur tere naam ka.
rukh tere noor ka.
khushboo teri rooh ki
ehsaas tere saath hone ka.
bas itni farmaayish ki hai iss betaab dil ne.
chahe dil mein mujhe naa rakh,
par duaaon me toh panaah de.

tu milegi yaa nahi ye batade,
rakh naa koi bharam jo hain mujhe satate.
chahe dil mein mujhe naa rakh,
par duaaon me toh panaah de.