Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Saturday 31 March 2012

Sad Poem

Tumne mujhe bohot dard diya hai,
Kisiko yeh kaise bata sakta hoon main.

Main tumhaare hi kaaran rota hoon,
Yeh duniya ko kaise dikha sakta hoon main.

Ab tumhaari zindagi se jaa raha hoon,
Tumhi nahi rokti toh kaise rukk sakta hoon main.

Tumhi ko mera saath Kabul nahi tha,
Toh batao yeh rishta kaise nibha sakta hoon main.

Monday 26 March 2012

In Her Wait.....

My happiness resides in her thoughts,
While; My pain is found in my poems.
Her closeness is a dicovery of my new life,
While; farness is an invention of a new sad poem....

Love You!
Love To Miss You!
But now its enough, so come back soon....

Friday 23 March 2012

khwaabidaa....
tu meri....
meri jaan hai, tu hi zindagi.....

Sohbat bhari zindagi ki taameer hai tu,
aur meri lehron par safina hai tu.
mujhko jaisi zindagi ki chaahat thi,
use jeene ki ekk ummeed hai tu.

bas saansein hi thi, aadat wo thi....
tune zindagi ko jeene ki chaahat hai di....
raahon par meri humsafar hai tu.....
aisa nahi hai toh ho humraahi tu....

khwaabidaa....
tu meri....
meri jaan hai, tu hi zindagi.....

Monday 19 March 2012

Love Is A Wait....

Khwaabon mein, main tumhe shumaar karta hoon.
Duur ho tum shayad isiliye,
Dil hi dil mein, main bavaal karta hoon.

Har yaad se, main teri duriyaan bayaan karta hoon,
Mitt raha hoon main ab tumse juda,
Tere hi sang jeena hai yeh khayaal karta hoon.

Neendon mein, main tera khumaar karta hoon,
Aankhon se neend jaane kahaan gayi,
Yeh khudse main ab sawaal karta hoon.

Bas tera naam hi hai jo main alfaaz karta hoon,
Duur rehkar tum itne sitam dhaati ho,
Tujhse milkar har ghaav par imdaad karta hoon.