Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Wednesday 24 August 2011

Armaano mein kuch aise tu aati hai

Armaano mein kuch aise tu aati hai,
Ke har jharno mein teri boond milti hai.
Aur har raah mein teri sohbat khalti hai.

Manzil ki sazhar phir bhi paas mein lagti hai,
Par tere Milan ka pal jannat ke paar lagta hai.

Armaano mein kuch aise tu aati hai,
Ke sham ki kshitij mein tere noor ki roshni milti hai.
Nigaahon ki hado se aage tere hone ka ehsaas dilati hai.

Khuda ke waas tak mera safar tay ho chuka hai,
Bas tere milne ki der aur sab-kuch ho chuka hai.

Armaano mein kuch aise tu aati hai,
Ke bin kuch jaane-soche chal pada mera kaarwan hai,
Har chahat se tu besh hai yeh mujhe gyaat hota hai.

Tere paas aane sekhwaabon ki tamir ban jati hai,
Bin tere khwaab dekhe meri neend gair raat jag jaati hai.

No comments:

Post a Comment