Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Friday 12 August 2011

Kya abhi bhi hai tu bekhabar?

Maine chaha tujhe iss kadar,
Ki hai ab dil mein bas teri basar.
Dil ko kya hai ab kisi ki khabar,
Tu hi shehar aur hai tu mera ghar.

Maine chaha tujhe iss kadar,
 Kya abhi bhi hai tu bekhabar?

Itne kareeb hai tu mere dil ke,
Ki saansein bhi maangein izaazat teri.
Dil dhadakta hai, shayad tu zinda hai isme,
Saansein chalti hai, tu rahta hai zahen mein.
Aur kya hai kami bas tere siva…..
Maine chaha tujhe iss kadar,
Ki hai ab dil mein bas teri basar.
Saari had par kardi, imtehaan kya hai.
Tu hi jarurat aur hai tu mera sahara.

Maine chaha tujhe iss kadar,
 Kya abhi bhi hai tu bekhabar?

No comments:

Post a Comment