Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 3 October 2011

Jabse tu khwaab hai

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Ghamm ne bhi mujhse juda rahna sikh liya hai,
Kyunki tere khayal ne mere har gham ko daba diya hai.
Do lamhon ki hi sahi, par tanhaayi main chahta hoon,
Kya karoon, ab tanhaayi mein bhi bas tumko hi pata hoon.
Tu jeene ke liye hai jaroori,
Kuch aise jaise dil ko saansein.
Dil ko bhi kahaan hai ab saanson ki jarurat,
Jabse tu rahne laga hai dil mein har fursat.

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Tera chup rahna yun khalta hai,
Jaise seene mein koi rog palta hai.
Dekhkar bhi jab tu koi ishaara nahi deti hai,
Toh tujhe dekhne ki khushi bhi khala lagti hai.
Jaaun toh kahaan ab,Har jahaan tu hi milti hai.
Sach tujhe paa loon toh, jeena hai safal yeh soch milti hai.

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

Yeh zameen bhi teri lagti hai,
Jo tune mujhe abr par bhej diya,
Badal hataye toh,
Aasmaan bhi tera hi lagta hai.
Jaaun toh kahaan ab,Har jahaan tu hi milti hai.
Sach tujhe paa loon toh, jeena hai safal yeh soch milti hai.

Jabse tu khwaab hai,
Toh khwaab, haqiqat se jyada aaj hai.

No comments:

Post a Comment