Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Wednesday 19 October 2011

kyunki tu hi meri ab zindagi hai......

tere sang bita har lamhaa,
meri zindagi ka haseen lamhaa hai.
tu paas na hokar bhi paas hai,
kyunki inn aankhon mein bas tere hi khaab hain.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

jab tujhe yaad karun,
toh pata nahi kyun muskaan labon par aa jati hai,
jab tujhe kabhi sochun,
toh kyun main bas soch mein hi rahna chahoon.
aaj haal mera kuch aisa hai,
ki log akele muskurate dekh mujhe pagal kehte hain,
par kaun unhe samjhaye,
ki main pagal toh nahin bas ek tera deewana hoon.
Tu shama jiska main parwana hoon.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

teri baaton ka bhale hi koi matlab na ho,
par fir bhi sunta hoon main unhe dhyaan se.
teri aawaaz nahi woh mere dil ka saaz hai,
jisse saanson ke chalne mein bhi raag hai.
ab iss dil mein bas tu hi palti hai,
kyunki dhadkan tere bina ab khalti hain.
Meri saanson se main juda ho gaya hoon,
Bas teri hawaon se jeeta hoon.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

Jahaan mere khwaabon ka ant hai,
Wahaan tere sang chalne ki baat hai..
Sabab karvatein badalne ka kya bataun tujhe,
Bas teri yaad satati hain mujhe.
Tere sur se bana saazinda main hoon,
Tere ehsaas se ab jeeta main hoon.
kyunki tu hi meri ab zindagi hai......meri jaan hai....
baakhudaa tu hi, tu hi beshumaar khaab saa.

No comments:

Post a Comment