Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 19 March 2012

Love Is A Wait....

Khwaabon mein, main tumhe shumaar karta hoon.
Duur ho tum shayad isiliye,
Dil hi dil mein, main bavaal karta hoon.

Har yaad se, main teri duriyaan bayaan karta hoon,
Mitt raha hoon main ab tumse juda,
Tere hi sang jeena hai yeh khayaal karta hoon.

Neendon mein, main tera khumaar karta hoon,
Aankhon se neend jaane kahaan gayi,
Yeh khudse main ab sawaal karta hoon.

Bas tera naam hi hai jo main alfaaz karta hoon,
Duur rehkar tum itne sitam dhaati ho,
Tujhse milkar har ghaav par imdaad karta hoon.

No comments:

Post a Comment