Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 25 June 2012

Best Sad Poem

Aansoon ko aankhon se duur rakha hai,
Tamaam dard ko seene mein kaid rakha hai.
Laakh koshishon par bhi toota dil nahi judta hai,
Shayad shikvon ko hi maine apna dil bana rakha hai.
Tamaam dard ko seene mein kaid rakha hai.
Tanhaayi aur khiza ke sang rehna shayad accha hai,
Duniyaa ne toh meri parchaayi se bhi parhez rakha hai.
Aansoon ko aankhon se duur rakha hai,
Tamaam dard ko seene mein kaid rakha hai.

Hazaar sawaal jug karta par haal naa kisine puncha hai,
Syaahi ko jubaan aur kore panno ko meet bana rakha hai.
Tamaam dard ko seene mein kaid rakha hai.
phasaa parinda samandar kinaare behti hawa mein hai,
Dubu yaa udd jaaun kuch aisa haal maine bana rakha hai.
Aansoon ko aankhon se duur rakha hai,
Tamaam dard ko seene mein kaid rakha hai.

Aansoon ko aankhon se duur rakha hai,
Tamaam dard ko seene mein kaid rakha hai.

No comments:

Post a Comment