Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 30 September 2013

Kuch bikhra hua saa....


Bachpan mein aaine ko dekhte huye aksar Maa se kehta tha,
"Maa, lagta hai main bada ho kar Shahrukh Khan banungaa."

Aaj mere ghar mein aaina nahi hai,
Dil mein kuch bada ban ne ka jazbaa bhi nahi hai.
Haan jaanta hoon sharir wohi hai "yaar"
Par ab woh hasraton se bhara dil nahi hai.

Hunaar hai, junoon nahi hai.
Soch hai, tajurbaa nahi hai.
Waqt hai, mauka nahi hai.
Mauka mila, toh sala mood nahi hai.

Main hoon abhi zinda,
Lekin kho gaya hoon.
Pyaasa hoon, paani bhi saamne hai,
Lekin uthke peene ka man nahi hai.
Pata nahi, takat ki kami hai ya iraadon ki naajuki.
Naav bhi hai kinara bhi kareeb hai,
Phir bhi jee karta hai doob jaaun ab.
kya pata, shayad isi bahane tairna seekh jaaun.
Aur samandar ki maujon ke saath furtila ho jaaun.

Amit Valmiki
(Dil se....)

No comments:

Post a Comment