Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 2 September 2013



Poore safar ka adhura pyaar....
- By Amit Valmiki

Delhi ko alvida kehte huye meri train Mathura junction ke kareeb pahuchi.
Station kareeb aata raha aur train dheeme mein hoti rahi. Achanak, meri khidki ke bahaar se 
"Chai! Chai! Bolo Garam Chai....."
bilkul wakeef si awaaz aani shuru ho gayi.
Station ki godh mein pahuchkar, train ne saans lete huye apna safar thama. Train ke rukte hi pakode wala ekaa-ek mere saamne aa jata hai, mujhse kehta hai -
" Babu, garam pakode lelo, bilkul garam hai...."
Barsaat ka mausam tha, pakodon ka chaav toh hona hi tha, maine bhi laalsa mein 10 rupaye ke pakode khareed liye, us par khatti chatni aur thoda masala dalwaya. Paise lete hi, pakode wala aage ko badh gaya.
Pakodon ko choone ke baad pata chala ke woh bilkul thande the. Aur woh pakode wala bhi ab meri nazar ke daayre se kahin duur jaa pahucha tha.
Thande pakode dekh kar mera dimaag jarur garam ho gaya. Chalo kuch toh garam hua 

Train adhiktam 5 minute tak hi rukti thi Mathura mein, Train bas rawana hi hone ko thi, meri nazar tab laal (luggage) bag par baithi, gulaabi suit pehene huye, apne bandhe baalon ko gardan ke ekk taraf karte huye ladki par padi.
Use dekhne ke baad, maine bas apni aankhein mukhtasar pal ko moond li. Band aankhon mein mujhe ek chehra nazar aaya, jo aksar main apne sapno mein dekha karta tha. hubahuu, wahi hasi, wahi aankhein, wahi zulfon ko kandhe ke ek taraf bikhre chhodna. maine aankhein kholi toh ehsaas huya, mere khwaabon ki rani haqiqat ke roop mein laal luggage bag par baithi hai. Mujhe ab iss baat ka yakeeb bhi ho chala tha ke sapno ke mukaddar mein bhi haqiqat hoti hai.

Par yahaan ek gaflat thi, Mujhe bas uska deedaar mayassar tha, sohbat nahi. Maine faisla kar liya ke ab use apni rezgaar zindagi mein shaamil karna hai. mujhe bhi gulistaan saa ab khilna hai. Lekin waqt ko shayad mera faisla manjur na tha. Usko jee bhar ke dekha tak nahi tha, maine khareede huye pakode bhi khatam nahi huye the abhi tak toh, itne mein train ne mere armaano ko todte huye aage badhne ka ailaan kar diya.
Main use aur bhi shiddat se dekhne mein leen ho gaya, train ne station se chalna shuru kar diya. Dheere dheere train aage badhti rahi, aur mere saansein bhi badhti rahi. Aisa laga maano mera dil keh raha ho, ke - "Amit! bhai utar jaa ab......"

Lekin har aashiq gawaah hai, pyaar bas dil ki jarurat hai. Mere dil ne toh mera saath diya. Lekin shayad kisi kashmakash mein giraft tha mera dil.
Izaajat thi utarne ki, bas sahaas nahi tha. maine kaha chodo yaar,

Kya hua jo yeh ladki na mili toh?
Jo naseeb mein hogi wohi sahi......
Use hi kabhi gulaabi suit pehenakar, laal bag par bithakar guftguu karungaa us se. Mere naseeb mein bas yahi do ghadi ka pyaar tha shayaad. Pyaar mukammal toh ho na saka, haan lekin us ladki ke bahane mera article jarur pura ho gaya.

Sahi kaha hai kisi ne - 

" Har kisi ko mukammal jahaan nahi milta,
Kisi ko zameen toh kisiko aasmaan nahi milta." 


No comments:

Post a Comment