Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Tuesday 11 March 2014

Khalish (Poem 1)

Tu yunhi saath rahe toh yeh zindagi sawar jaayegi,
Warna teri yaad mein rafta rafta guzar jaayegi.

Maine jo khwaabon ki duniya banayi thi,
Pata na tha baad tere jaane ke woh yun bikhar jaayegi.

Tu haseen hai itni jiska koi jawaab nahi,
Raat bhi tujhe dekhe toh woh nikhar jaayegi.

Tujhe dekhne ko aankhein tarasti hain,
Aaj kal jahaan tu bas wahin meri yeh nazar jaayegi.

Tu yunhi saath rahe toh yeh zindagi sawar jaayegi,
Warna teri yaad mein rafta rafta guzar jaayegi. 

No comments:

Post a Comment