Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Tuesday 4 March 2014

Phir se mohabbat karna chaahta hun.....

Mere daftar mein ekk ladki hai,
jiske liye lag-bhag sara ka sara staaf deewana hai.
Har koi us se dosti karna chaahta hai, yaa yun kahoon ke pyaar karna chaahta hai.
Main banking sector mein kaam karta hun, toh agar apni banking ki bhasha mein kahun toh jaise woh ladki ek bank hai, jisme har ladka apna account khulwana chaahta hai.
Hahaaha!!!
Jitni badi bank, utne hi bade risks.

Par maine kabhi uss ladki mein interest hi nahi liya,
Are nahi, koi dushmani toh nahi hai us se, bas pata nahi kyun use dekh ke mujhe kuch nhi hota.
shayad isliye kyunki mere dil mein pehle se hi koi aur hai....
apni banking bhasha mein kahun toh meri mohabbat ka account already kisi ladki ke dil mein khul chuka hai, Neha naam hai uska.
Ab hum saath nahi hain, juda ho gaye hain.
Kaafi arsaa ho gaya hai uska deedaar kiye, haan kabhi kabaar sapno mein jaroor mulakaat ho jaati hai Neha se.
Mera account uske dil mein block ho chuka hai,
main ab kisi aur ka nhi ho sakta, mere pyaar ki CIBIL rating kharaab ho gayi hai shayad isliye meri mohabbat ka account kisi aur ladki ke dil mein nahi khul raha.

Main phir se mohabbat karna chaahta hun, kyunki ab maine mohabbat mein hasna aur rona, done ke maayne seekh liye hain....

No comments:

Post a Comment