Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Thursday 10 July 2014

Na Jaane Woh Lamms Kiska Tha

Na jaane woh lamms kiska tha, tera ya fiza ka,
Aaj bhi sharir chuan mehsus karta hai.
Yun toh aata hai sapno mein hazaar martaba
Par Haqiqat se khudko mehfus rakhta hai.
Main tanhaa, raahon pe khada 'muntazar',
Woh mehfil mein apne husn ka prachaar karta hai.
Kyun dhundhta hai woh shakhs zamaane bhar mein pyaar,
Mera zahen jise khayaalon mein shumaar karta hai.
Amit Muntazar

No comments:

Post a Comment