Meri zubaan pe hai jo, woh lafz hai tera
Aye khuda meri ghazal ka har harf hai tera.

Monday 7 July 2014

Song Lyrics : Jee Raha Hoon Zulmat mein


Ab Har Ghadi, Har Lamhaa
Ho Kar Main Tanha-Tanhaa.
Sochta hoon tujhe khalvat Mein.

Jeena Mein Koi Inaayat Nahi,
Aur Jeene Ki Bhi Ibaadat Nahi.
Jee Raha Hoon Main Zulmat Mein.

Woh diye bujh gaye,
Jo jalaye the teri mohabbat ne.
Woh shama pighal gayi,
Jo jalti thi mere dil ki chaukhat pe.
Inn andheron ke hawale kar gayi mujhe,
Jahaan mera saya bhi chood gaya hai mujhe.

Zindagi thi gulistaan, gulzar tha mera har aalam
Baad tere jaane ke badal gaya mausam.
Aaj  waqt guzarta hai tanhai ki qurbat mein,
Jee Raha Hoon Main Zulmat Mein.

Jo sang tha ab woh hai nahi humsafar,
Aakhir guzre toh kaise guzre zindagi ka yeh safar.
Bedili ke zamaane mein kyun jeeta hai mera dil,
Nikal doon seene se toh kaise tu jeeta hai isme magar.
Inn andheron ke hawale kar gayi mujhe,
Jahaan mera saya bhi chood gaya hai mujhe.

Har modd pe, Har raaste diye waqt ne gham,
Kaise main bhulaaun tujhe tu hi tha mera marham.
Aaj dil sang chalta hai tanhaai ki sohbat mein,
Jee Raha Hoon Main Zulmat Mein.

Lyrics Penned And Owned By
Amit Valmiki

No comments:

Post a Comment